sang-e-dar us ka har ek dar pe laga milta hai
sañg-e-dar us kā har ik dar pe lagā miltā hai
dil ko āvāra-mizājī kā mazā miltā hai
jo bhī gul hai vo kisī pairhan-e-gul par hai
jo bhī kāñTā hai kisī dil meñ chubhā miltā hai
shauq vo daam ki jo ruḳhsat-e-parvāz na de
dil vo taa.ir ki use yuuñ bhī mazā miltā hai
vo jo baiThe haiñ bane nāseh-e-mushfiq sar par
koī pūchhe to bhalā aap ko kyā miltā hai
ham ki māyūs nahīñ haiñ unheñ pā hī leñge
log kahte haiñ ki DhūñDe se ḳhudā miltā hai
dām-e-tazvīr na ho shauq gulū-gīr na ho
mai-kada 'arsh' hameñ aaj khulā miltā hai
sang-e-dar us ka har ek dar pe laga milta hai
dil ko aawara-mizaji ka maza milta hai
jo bhi gul hai wo kisi pairhan-e-gul par hai
jo bhi kanTa hai kisi dil mein chubha milta hai
shauq wo dam ki jo ruKHsat-e-parwaz na de
dil wo tair ki use yun bhi maza milta hai
wo jo baiThe hain bane naseh-e-mushfiq sar par
koi puchhe to bhala aap ko kya milta hai
hum ki mayus nahin hain unhen pa hi lenge
log kahte hain ki DhunDe se KHuda milta hai
dam-e-tazwir na ho shauq gulu-gir na ho
mai-kada 'arsh' hamein aaj khula milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.