saeban kya abr ka TukDa hai kya
sā.ebāñ kyā abr kā TukḌā hai kyā
dhuup to ma.alūm hai saayā hai kyā
apne dāman meñ chhupā le mauj-e-ġham
qatra qatra zindagī jiinā hai kyā
ḳhvāb aañsū ehtajājī zindagī
pūchhiye mat shahr-e-kalkatta hai kyā
tund jhoñke sab uḌā le jā.eñge
shāḳh se TuuTā huā pattā hai kyā
har qadam ik sāneha hai dosto
aise mausam meñ koī jiitā hai kyā
merī mahrūmī mirā ġhussa na pūchh
barf kī hiddat hai kyā sho.ala hai kyā
kyuuñ dhaḌaktā hai ye dil ambar-'shamīm'
us kī yādoñ se mirā rishta hai kyā
saeban kya abr ka TukDa hai kya
dhup to malum hai saya hai kya
apne daman mein chhupa le mauj-e-gham
qatra qatra zindagi jina hai kya
KHwab aansu ehtajaji zindagi
puchhiye mat shahr-e-kalkatta hai kya
tund jhonke sab uDa le jaenge
shaKH se TuTa hua patta hai kya
har qadam ek saneha hai dosto
aise mausam mein koi jita hai kya
meri mahrumi mera ghussa na puchh
barf ki hiddat hai kya shoala hai kya
kyun dhaDakta hai ye dil ambar-'shamim'
us ki yaadon se mera rishta hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.