sae Dhalne charag jalne lage
saa.e Dhalne charāg jalne lage
log apne gharoñ ko chalne lage
itnī pur-pech hai bhañvar kī girah
jaise nafrat diloñ meñ palne lage
duur hone lagī jaras kī sadā
kārvāñ rāste badalne lage
us ke lahje meñ barf thī lekin
chhū ke dekhā to haath jalne lage
us ke band-e-qabā ke jaadū se
saañp se uñgliyoñ meñ chalne lage
rāh-e-gum-karda tā.eroñ kī tarah
phir sitāre safar pe chalne lage
phir nigāhoñ meñ dhuul uḌtī hai
aks phir aa.ine badalne lage
sae Dhalne charag jalne lage
log apne gharon ko chalne lage
itni pur-pech hai bhanwar ki girah
jaise nafrat dilon mein palne lage
dur hone lagi jaras ki sada
karwan raste badalne lage
us ke lahje mein barf thi lekin
chhu ke dekha to hath jalne lage
us ke band-e-qaba ke jadu se
sanp se ungliyon mein chalne lage
rah-e-gum-karda taeron ki tarah
phir sitare safar pe chalne lage
phir nigahon mein dhul uDti hai
aks phir aaine badalne lage
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 155)
- Author : Salahuddin Mahmood
- Publication : Saweera art Press, Pakistan (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.