ruh ki mang hai wo jism ka saman nahin
ruuh kī maañg hai vo jism kā sāmān nahīñ
us kā milnā mujhe mushkil na ho āsān nahīñ
koī dam aur hai bas ḳhaak hue jaane meñ
ḳhaak bhī aisī ki jis kī koī pahchān nahīñ
Thes kuchh aisī lagī hai ki bikharnā hai use
dil meñ dhaḌkan kī jagah dard hai aur jaan nahīñ
bojh hai ishq to phir kaise sambhāleñ us ko
duur tak saath chaleñ is kā to imkān nahīñ
muḳhtalif samt bahā.e liye jaatā hai hameñ
vaqt ke saath hamārā koī paimān nahīñ
'fātima' dard ke rishte se kinārā karnā
be-hisī kah lo ise ye koī nirvān nahīñ
ruh ki mang hai wo jism ka saman nahin
us ka milna mujhe mushkil na ho aasan nahin
koi dam aur hai bas KHak hue jaane mein
KHak bhi aisi ki jis ki koi pahchan nahin
Thes kuchh aisi lagi hai ki bikharna hai use
dil mein dhaDkan ki jagah dard hai aur jaan nahin
bojh hai ishq to phir kaise sambhaalen us ko
dur tak sath chalen is ka to imkan nahin
muKHtalif samt bahae liye jata hai hamein
waqt ke sath hamara koi paiman nahin
'fatima' dard ke rishte se kinara karna
be-hisi kah lo ise ye koi nirwan nahin
- Book : Asaleeb (Pg. 246)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.