ruke ruke se qadam ruk ke bar bar chale
ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale
qarār de ke tire dar se be-qarār chale
uThā.e phirte the ehsān jism kā jaañ par
chale jahāñ se to ye pairahan utaar chale
na jaane kaun sī miTTī vatan kī miTTī thī
nazar meñ dhuul jigar meñ liye ġhubār chale
sahar na aa.ī ka.ī baar niiñd se jaage
thī raat raat kī ye zindagī guzār chale
milī hai sham.a se ye rasm-e-āshiqī ham ko
gunāh haath pe le kar gunāhgār chale
ruke ruke se qadam ruk ke bar bar chale
qarar de ke tere dar se be-qarar chale
uThae phirte the ehsan jism ka jaan par
chale jahan se to ye pairahan utar chale
na jaane kaun si miTTi watan ki miTTi thi
nazar mein dhul jigar mein liye ghubar chale
sahar na aai kai bar nind se jage
thi raat raat ki ye zindagi guzar chale
mili hai shama se ye rasm-e-ashiqi hum ko
gunah hath pe le kar gunahgar chale
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 202)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.