rishton ki daldal se kaise niklenge
rishtoñ kī daldal se kaise nikleñge
har sāzish ke pīchhe apne nikleñge
chāñd sitāre god meñ aa kar baiTh ga.e
sochā ye thā pahlī bus se nikleñge
sab ummīdoñ ke pīchhe māyūsī hai
toḌo ye bādām bhī kaḌve nikleñge
maiñ ne rishte taaq pe rakh kar pūchh liyā
ik chhat par kitne parnāle nikleñge
jaane kab ye dauḌ thamegī sāñsoñ kī
jaane kab pairoñ se juute nikleñge
har kone se terī ḳhushbū aa.egī
har sandūq meñ tere kapḌe nikleñge
apne ḳhuun se itnī to ummīdeñ haiñ
apne bachche bhiiḌ se aage nikleñge
rishton ki daldal se kaise niklenge
har sazish ke pichhe apne niklenge
chand sitare god mein aa kar baiTh gae
socha ye tha pahli bus se niklenge
sab ummidon ke pichhe mayusi hai
toDo ye baadam bhi kaDwe niklenge
main ne rishte taq pe rakh kar puchh liya
ek chhat par kitne parnale niklenge
jaane kab ye dauD thamegi sanson ki
jaane kab pairon se jute niklenge
har kone se teri KHushbu aaegi
har sanduq mein tere kapDe niklenge
apne KHun se itni to ummiden hain
apne bachche bhiD se aage niklenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.