bagule uTh chale the aur na thi kuchh der aandhi mein
bagule uTh chale the aur na thi kuchh der aandhi mein
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
bagūle uTh chale the aur na thī kuchh der āñdhī meñ
ki ham se yaar se aa ho ga.ī muDbheḌ āñdhī meñ
jatā kar ḳhaak kā uḌnā dikhā kar gard kā chakkar
vahīñ ham le chale us gul-badan ko gher āñdhī meñ
raqīboñ ne jo dekhā ye uḌā kar le chalā us ko
pukāre haa.e ye kaisā huā andher āñdhī meñ
vo dauḌe to bahut lekin unheñ āñdhī meñ kyā sūjhe
zi-bas ham us parī ko laa.e ghar meñ gher āñdhī meñ
chaḌhā koThe pe darvāze ko muuñd aur khol kar parde
lagā chhātī liye bose kyā hat pher āñdhī meñ
vo koThe kā makāñ vo kaalī āñdhī vo sanam gul-rū
ajab rangoñ kī Thahrī aa ke herā-pher āñdhī meñ
uThā kar taaq se shīsha lagā chhātī se dilbar ko
nashoñ meñ aish ke kyā kyā kiyā dil sair āñdhī meñ
kabhī bosa kabhī añgiyā pe haath aur gaah siine par
lage luTne maze ke sañgtare aur bair āñdhī meñ
maze aish o tarab lazzat lage yuuñ TuuT kar girne
ki jaise TuuT kar mevoñ ke hoveñ Dher āñdhī meñ
raqīboñ kī maiñ ab ḳhvārī ḳharābī kyā likhūñ baare
bharī nathnoñ meñ un ke ḳhaak das das ser āñdhī meñ
kisī kī uḌ ga.ī pagḌī kisī kā phaT gayā dāman
ga.ī Dhaal aur kisī kī gir paḌī shamshīr āñdhī meñ
'nazīr' āñdhī meñ kahte haiñ ki aksar dev hote haiñ
miyāñ ham ko to le jaatī haiñ pariyāñ gher āñdhī meñ
bagule uTh chale the aur na thi kuchh der aandhi mein
ki hum se yar se aa ho gai muDbheD aandhi mein
jata kar KHak ka uDna dikha kar gard ka chakkar
wahin hum le chale us gul-badan ko gher aandhi mein
raqibon ne jo dekha ye uDa kar le chala us ko
pukare hae ye kaisa hua andher aandhi mein
wo dauDe to bahut lekin unhen aandhi mein kya sujhe
zi-bas hum us pari ko lae ghar mein gher aandhi mein
chaDha koThe pe darwaze ko mund aur khol kar parde
laga chhati liye bose kya hat pher aandhi mein
wo koThe ka makan wo kali aandhi wo sanam gul-ru
ajab rangon ki Thahri aa ke hera-pher aandhi mein
uTha kar taq se shisha laga chhati se dilbar ko
nashon mein aish ke kya kya kiya dil sair aandhi mein
kabhi bosa kabhi angiya pe hath aur gah sine par
lage luTne maze ke sangtare aur bair aandhi mein
maze aish o tarab lazzat lage yun TuT kar girne
ki jaise TuT kar mewon ke howen Dher aandhi mein
raqibon ki main ab KHwari KHarabi kya likhun bare
bhari nathnon mein un ke KHak das das ser aandhi mein
kisi ki uD gai pagDi kisi ka phaT gaya daman
gai Dhaal aur kisi ki gir paDi shamshir aandhi mein
'nazir' aandhi mein kahte hain ki aksar dew hote hain
miyan hum ko to le jati hain pariyan gher aandhi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.