Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

purane sab nazare ja rahe hain

Afzal Hazarvi

purane sab nazare ja rahe hain

Afzal Hazarvi

MORE BYAfzal Hazarvi

    purāne sab nazāre rahe haiñ

    na.e manzar ubhāre rahe haiñ

    udhar hai sard-mehrī aur idhar se

    ishāroñ par ishāre rahe haiñ

    safīna ho rahā hai ġharq-e-tūfāñ

    nigāhoñ se kināre rahe haiñ

    nahīñ bātin pe ab koī tavajjoh

    faqat zāhir sañvāre rahe haiñ

    shab-e-ġham meñ ruḳh-e-raushan ke jalve

    añdheroñ ko nikhāre rahe haiñ

    kahīñ bikhrī paḌī hai zulf 'afzal'

    kahīñ gesū sañvāre rahe haiñ

    purane sab nazare ja rahe hain

    nae manzar ubhaare ja rahe hain

    udhar hai sard-mehri aur idhar se

    ishaaron par ishaare ja rahe hain

    safina ho raha hai gharq-e-tufan

    nigahon se kinare ja rahe hain

    nahin baatin pe ab koi tawajjoh

    faqat zahir sanware ja rahe hain

    shab-e-gham mein ruKH-e-raushan ke jalwe

    andheron ko nikhaare ja rahe hain

    kahin bikhri paDi hai zulf 'afzal'

    kahin gesu sanware ja rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now