phir lutf-e-KHalish dene lagi yaad kisi ki
phir lutf-e-ḳhalish dene lagī yaad kisī kī
phir bhuul ga.ī yaad ko be-dād kisī kī
phir ranj-o-alam ko hai kisī kā ye ishāra
ujḌī huī bastī karo ābād kisī kī
phir ḳhat kā javāb ek vahī tanz kā misra'
majbūr hai kyuuñ fitrat-e-āzād kisī kī
phir de ke ḳhushī ham use nāshād kareñ kyuuñ
ġham hī se tabī'at hai agar shaad kisī kī
phir pand-o-nasīhat ke liye aane lage dost
vo dost jo karte nahīñ imdād kisī kī
phir shahr meñ charchā hai na.ī sang-zanī kā
aḳhbār meñ phir darj hai rūdād kisī kī
phir bāb-e-asar kā koī rasta nahīñ miltā
phir bhaTkī huī phirtī hai fariyād kisī kī
phir ḳhaak uḌāte hue phirte haiñ bagūle
phir dasht meñ miTTī huī barbād kisī kī
phir maiñ bhī karūñ kyuuñ na 'hafīz' is pe tasallut
jāgīr nahīñ tab-e-ḳhudā-dād kisī kī
phir lutf-e-KHalish dene lagi yaad kisi ki
phir bhul gai yaad ko be-dad kisi ki
phir ranj-o-alam ko hai kisi ka ye ishaara
ujDi hui basti karo aabaad kisi ki
phir KHat ka jawab ek wahi tanz ka misra'
majbur hai kyun fitrat-e-azad kisi ki
phir de ke KHushi hum use nashad karen kyun
gham hi se tabi'at hai agar shad kisi ki
phir pand-o-nasihat ke liye aane lage dost
wo dost jo karte nahin imdad kisi ki
phir shahr mein charcha hai nai sang-zani ka
aKHbar mein phir darj hai rudad kisi ki
phir bab-e-asar ka koi rasta nahin milta
phir bhaTki hui phirti hai fariyaad kisi ki
phir KHak uDate hue phirte hain bagule
phir dasht mein miTTi hui barbaad kisi ki
phir main bhi karun kyun na 'hafiz' is pe tasallut
jagir nahin tab-e-KHuda-dad kisi ki
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 217)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.