parsai unki jab yaad aaegi
pārsā.ī un kī jab yaad aa.egī
mujh se merī aarzū sharmā.egī
gar yahī hai pās-e-ādāb-e-sukūt
kis tarah fariyād lab tak aa.egī
ye to maanā dekh aa.eñ kū-e-yār
phir tamannā aur kuchh farmā.egī
jaane de sabr o qarār o hosh ko
tū kahāñ ai be-qarārī jā.egī
hijr kī shab gar yahī hai iztirāb
niiñd ai 'taslīm' kyūñkar aa.egī
parsai un ki jab yaad aaegi
mujh se meri aarzu sharmaegi
gar yahi hai pas-e-adab-e-sukut
kis tarah fariyaad lab tak aaegi
ye to mana dekh aaen ku-e-yar
phir tamanna aur kuchh farmaegi
jaane de sabr o qarar o hosh ko
tu kahan ai be-qarari jaegi
hijr ki shab gar yahi hai iztirab
nind ai 'taslim' kyunkar aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.