naqsh pani pe banaya kyun tha
naqsh paanī pe banāyā kyuuñ thā
jab banāyā to miTāyā kyuuñ thā
ga.e vaqtoñ kā hai ab ronā kyuuñ
aa.e vaqtoñ ko gañvāyā kyuuñ thā
baiTh jaanā thā agar misl-e-ġhubār
sar pe tūfān uThāyā kyuuñ thā
merī manzil na kahīñ thī to mujhe
dasht-dar-dasht phirāyā kyuuñ thā
vo na hamdam thā na dam-sāz koī
hāl-e-dil us ko sunāyā kyuuñ thā
duur rahnā thā jab us ko 'mohsin'
mere nazdīk vo aayā kyuuñ thā
naqsh pani pe banaya kyun tha
jab banaya to miTaya kyun tha
gae waqton ka hai ab rona kyun
aae waqton ko ganwaya kyun tha
baiTh jaana tha agar misl-e-ghubar
sar pe tufan uThaya kyun tha
meri manzil na kahin thi to mujhe
dasht-dar-dasht phiraya kyun tha
wo na hamdam tha na dam-saz koi
haal-e-dil us ko sunaya kyun tha
dur rahna tha jab us ko 'mohsin'
mere nazdik wo aaya kyun tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.