nahin samjhi thi jo samjha rahi hun
nahīñ samjhī thī jo samjhā rahī huuñ
ab uljhī huuñ to khultī jā rahī huuñ
bahut gahrī hai us kī ḳhāmushī bhī
maiñ apne qad ko chhoTā pā rahī huuñ
umañD aayā hai shor auroñ ke ghar se
darīche khol ke pachhtā rahī huuñ
hujūm itnā ki chehre bhuul jā.ūñ
bisāt-e-zāt ko phailā rahī huuñ
ye manzar pūchhte haiñ mujh se aksar
kahāñ se aa.ī huuñ kyuuñ jā rahī huuñ
agar sach hai to phir sābit karo tum
maiñ apne aap ko jhuTlā rahī huuñ
nahin samjhi thi jo samjha rahi hun
ab uljhi hun to khulti ja rahi hun
bahut gahri hai us ki KHamushi bhi
main apne qad ko chhoTa pa rahi hun
umanD aaya hai shor auron ke ghar se
dariche khol ke pachhta rahi hun
hujum itna ki chehre bhul jaun
bisat-e-zat ko phaila rahi hun
ye manzar puchhte hain mujh se aksar
kahan se aai hun kyun ja rahi hun
agar sach hai to phir sabit karo tum
main apne aap ko jhuTla rahi hun
- Book : dast se dar ka faasla (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.