nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya
nahīñ ki apnā zamāna bhī to nahīñ aayā
hameñ kisī se nibhānā bhī to nahīñ aayā
jalā ke rakh liyā hāthoñ ke saath dāman tak
tumheñ charāġh bujhānā bhī to nahīñ aayā
na.e makān banā.e to fāsloñ kī tarah
hameñ ye shahr basānā bhī to nahīñ aayā
vo pūchhtā thā mirī aañkh bhīgne kā sabab
mujhe bahāna banānā bhī to nahīñ aayā
'vasīm' dekhnā muḌ muḌ ke vo usī kī taraf
kisī ko chhoḌ ke jaanā bhī to nahīñ aayā
nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya
hamein kisi se nibhana bhi to nahin aaya
jala ke rakh liya hathon ke sath daman tak
tumhein charagh bujhana bhi to nahin aaya
nae makan banae to faslon ki tarah
hamein ye shahr basana bhi to nahin aaya
wo puchhta tha meri aankh bhigne ka sabab
mujhe bahana banana bhi to nahin aaya
'wasim' dekhna muD muD ke wo usi ki taraf
kisi ko chhoD ke jaana bhi to nahin aaya
- Book : Mera Kiya (Pg. 91)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.