nahin ho tum to aisa lag raha hai
nahīñ ho tum to aisā lag rahā hai
ki jaise shahr meñ curfew lagā hai
mire saa.e meñ us kā naqsh-e-pā hai
baḌā ehsān mujh par dhuup kā hai
koī barbād ho kar jā chukā hai
koī barbād honā chāhtā hai
lahū āñkhoñ meñ aa kar chhup gayā hai
na jaane shahr-e-dil meñ kyā huā hai
kaTī hai umr bas ye sochne meñ
mire baare meñ vo kyā sochtā hai
barā.e naam haiñ un se marāsim
barā.e naam jiinā paḌ rahā hai
sitāre jagmagāte jā rahe haiñ
ḳhudā apnā qasīda likh rahā hai
guloñ kī bāteñ chhup kar sun rahā huuñ
tumhārā zikr achchhā lag rahā hai
nahin ho tum to aisa lag raha hai
ki jaise shahr mein curfew laga hai
mere sae mein us ka naqsh-e-pa hai
baDa ehsan mujh par dhup ka hai
koi barbaad ho kar ja chuka hai
koi barbaad hona chahta hai
lahu aankhon mein aa kar chhup gaya hai
na jaane shahr-e-dil mein kya hua hai
kaTi hai umr bas ye sochne mein
mere bare mein wo kya sochta hai
barae nam hain un se marasim
barae nam jina paD raha hai
sitare jagmagate ja rahe hain
KHuda apna qasida likh raha hai
gulon ki baaten chhup kar sun raha hun
tumhaara zikr achchha lag raha hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 97)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.