nalan hua hai jal kar sine mein man hamara
nālāñ huā hai jal kar siine meñ man hamārā
piñjre meñ boltā hai garm aaj agan hamārā
piirī kamān kī juuñ māne' nahīñ akaḌ kuuñ
hai zo'f biich duunā ab bāñkpan hamārā
chaltā hai jiiv jis par jaate haiñ us ke pīchhe
saude meñ 'ishq ke hai ab ye chalan hamārā
milne kī hikmateñ sab aatī haiñ ham ko ik ik
go bū-alī ho lauñDā khātā hai fan hamārā
majlis meñ 'āshiqoñ kī aur hī bahār ho jā
aave jabhī rañgīlā gul-pairahan hamārā
is vaqt jaan pyāre ham pāvate haiñ jī sā
lagtā hai jab badan se tere badan hamārā
ye muskurāonā hai to kis tarah jiyūñgā
tum ko to ye hañsī hai par hai maran hamārā
'izzat hai jauharī kī jo qīmtī ho gauhar
hai 'ābrū' haman kuuñ jag meñ suḳhan hamārā
nalan hua hai jal kar sine mein man hamara
pinjre mein bolta hai garm aaj agan hamara
piri kaman ki jun mane' nahin akaD kun
hai zo'f bich duna ab bankpan hamara
chalta hai jiw jis par jate hain us ke pichhe
saude mein 'ishq ke hai ab ye chalan hamara
milne ki hikmaten sab aati hain hum ko ek ek
go bu-ali ho launDa khata hai fan hamara
majlis mein 'ashiqon ki aur hi bahaar ho ja
aawe jabhi rangila gul-pairahan hamara
is waqt jaan pyare hum pawate hain ji sa
lagta hai jab badan se tere badan hamara
ye muskuraona hai to kis tarah jiyunga
tum ko to ye hansi hai par hai maran hamara
'izzat hai jauhari ki jo qimti ho gauhar
hai 'abru' haman kun jag mein suKHan hamara
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.