na koi fal nikali na istiKhaara kiya
na koī faal nikālī na istiḳhāra kiyā
bas ek sub.h yūñhī ḳhalq se kināra kiyā
nikal paḌeñge gharoñ se tamām sayyāre
agar zamīn ne halkā sā ik ishāra kiyā
jo dil ke taaq meñ tū ne charāġh rakkhā thā
na pūchh maiñ ne use kis tarah sitāra kiyā
parā.ī aag ko ghar meñ uThā ke le aayā
ye kaam dil ne baġhair ujrat o ḳhasāra kiyā
ajab hai tū ki tujhe hijr bhī garāñ guzrā
aur ek ham ki tirā vasl bhī gavāra kiyā
hamesha haath rahā hai 'jamāl' āñkhoñ par
kabhī ḳhayāl kabhī ḳhvāb par guzāra kiyā
na koi fal nikali na istiKHara kiya
bas ek subh yunhi KHalq se kinara kiya
nikal paDenge gharon se tamam sayyare
agar zamin ne halka sa ek ishaara kiya
jo dil ke taq mein tu ne charagh rakkha tha
na puchh main ne use kis tarah sitara kiya
parai aag ko ghar mein uTha ke le aaya
ye kaam dil ne baghair ujrat o KHasara kiya
ajab hai tu ki tujhe hijr bhi garan guzra
aur ek hum ki tera wasl bhi gawara kiya
hamesha hath raha hai 'jamal' aankhon par
kabhi KHayal kabhi KHwab par guzara kiya
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 83)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.