Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain

Khushbir Singh Shaad

na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain

Khushbir Singh Shaad

MORE BYKhushbir Singh Shaad

    na chashm-e-tar batātī hai na zaḳhm-e-sar batāte haiñ

    vo ik rūdād jo sahme hue ye ghar batāte haiñ

    maiñ apne āñsuoñ par is liye qaabū nahīñ rakhtā

    ki mere dil hālat mujh se ye behtar batāte haiñ

    unheñ dil sadāoñ par bhalā kaise yaqīñ hogā

    ye āñkheñ to vahī suntī haiñ jo manzar batāte haiñ

    yaqīnan phir kisī ne jur.at-e-parvāz hogī

    yahāñ chāroñ taraf bikhre hue ye par batāte haiñ

    kahāñ gum ho gayā hai rāste meñ vo musāfir bhī

    na kuchh rahzan batāte haiñ na kuchh rahbar batāte haiñ

    zarā ye dhuup Dhal jaa.e to un haal pūchheñge

    yahāñ kuchh saa.e apne aap ko paikar batāte haiñ

    tujhe bhī 'shād' apnī zaat se bāhar nikalnā hai

    sadaf qaid se nikle hue gauhar batāte haiñ

    na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain

    wo ek rudad jo sahme hue ye ghar batate hain

    main apne aansuon par is liye qabu nahin rakhta

    ki mere dil ki haalat mujh se ye behtar batate hain

    unhen dil ki sadaon par bhala kaise yaqin hoga

    ye aankhen to wahi sunti hain jo manzar batate hain

    yaqinan phir kisi ne jurat-e-parwaz ki hogi

    yahan chaaron taraf bikhre hue ye par batate hain

    kahan gum ho gaya hai raste mein wo musafir bhi

    na kuchh rahzan batate hain na kuchh rahbar batate hain

    zara ye dhup Dhal jae to un ka haal puchhenge

    yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain

    tujhe bhi 'shad' apni zat se bahar nikalna hai

    sadaf ki qaid se nikle hue gauhar batate hain

    Source :
    • Book : Zara ye Dhoop Dhal Jaye (Pg. 9)
    • Author : Khushbir Singh Shaad
    • Publication : Suman Parkashan, Bhadoriya Complex, Lucknow (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now