kaha maine meri aankhon mein pani hai
kahā maiñ ne mirī āñkhoñ meñ paanī hai
javāb aayā mohabbat kī nishānī hai
kahā maiñ ne lagī dil kī bujhānī hai
javāb aayā ye jazba jāvedānī hai
kahā maiñ ne khileñge kab vafā ke phuul
javāb aayā abhī mausam ḳhizānī hai
kahā maiñ ne mohabbat mehvar-e-hastī
javāb aayā balā-e-nā-gahānī hai
kahā maiñ ne ki har lamha sisaktā huuñ
javāb aayā ki ulfat to nibhānī hai
kahā maiñ ne sitam itnā nahīñ achchhā
javāb aayā mohabbat āzmānī hai
kahā maiñ ne matā-e-zīst ya.anī tū
javāb aayā yahāñ har chiiz faanī hai
kahā maiñ ne ki dekh in surḳh āñkhoñ meñ
javāb aayā mohabbat āsmānī hai
kahā maiñ ne ki kyoñ itne gurezāñ ho
javāb aayā tumhārī mehrbānī hai
kahā maiñ ne mirī ġhazloñ kī jaañ ho tum
javāb aayā tumhārī ḳhush-gumānī hai
kahā maiñ ne ḳhamoshī maar Dālegī
javāb un kā mukammal be-zabānī hai
kahā maiñ ne sunāo hāl-e-dil 'rāġhib'
javāb aayā bahut lambī kahānī hai
kaha main ne meri aankhon mein pani hai
jawab aaya mohabbat ki nishani hai
kaha main ne lagi dil ki bujhani hai
jawab aaya ye jazba jawedani hai
kaha main ne khilenge kab wafa ke phul
jawab aaya abhi mausam KHizani hai
kaha main ne mohabbat mehwar-e-hasti
jawab aaya bala-e-na-gahani hai
kaha main ne ki har lamha sisakta hun
jawab aaya ki ulfat to nibhani hai
kaha main ne sitam itna nahin achchha
jawab aaya mohabbat aazmani hai
kaha main ne mata-e-zist yani tu
jawab aaya yahan har chiz fani hai
kaha main ne ki dekh in surKH aankhon mein
jawab aaya mohabbat aasmani hai
kaha main ne ki kyon itne gurezan ho
jawab aaya tumhaari mehrbani hai
kaha main ne meri ghazlon ki jaan ho tum
jawab aaya tumhaari KHush-gumani hai
kaha main ne KHamoshi mar Dalegi
jawab un ka mukammal be-zabani hai
kaha main ne sunao haal-e-dil 'raghib'
jawab aaya bahut lambi kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.