mujhe malal bhi uski taraf se hota hai
mujhe malāl bhī us kī taraf se hotā hai
magar ye haal bhī us kī taraf se hotā hai
maiñ TūTtā bhī huuñ aur ḳhud hī juḌ bhī jaatā huuñ
ki ye kamāl bhī us kī taraf se hotā hai
pukārtā bhī vahī hai mujhe safar ke liye
safar muhāl bhī us kī taraf se hotā hai
javāb detā hai mere har ik savāl kā vo
magar savāl bhī us kī taraf se hotā hai
vo mere haal se mujh ko hī be-ḳhabar kar de
ye ehtimāl bhī us kī taraf se hotā hai
maiñ us ke hijr meñ kyuuñ TuuT kar nahīñ royā
ye ik savāl bhī us kī taraf se hotā hai
jab āgahī mujhe gumrāh kartī hai 'mohsin'
junūñ bahāl bhī us kī taraf se hotā hai
mujhe malal bhi us ki taraf se hota hai
magar ye haal bhi us ki taraf se hota hai
main TuTta bhi hun aur KHud hi juD bhi jata hun
ki ye kamal bhi us ki taraf se hota hai
pukarta bhi wahi hai mujhe safar ke liye
safar muhaal bhi us ki taraf se hota hai
jawab deta hai mere har ek sawal ka wo
magar sawal bhi us ki taraf se hota hai
wo mere haal se mujh ko hi be-KHabar kar de
ye ehtimal bhi us ki taraf se hota hai
main us ke hijr mein kyun TuT kar nahin roya
ye ek sawal bhi us ki taraf se hota hai
jab aagahi mujhe gumrah karti hai 'mohsin'
junun bahaal bhi us ki taraf se hota hai
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 118)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.