mujhe kahan mere andar se wo nikalega
mujhe kahāñ mire andar se vo nikālegā
parā.ī aag meñ koī na haath Dālegā
vo aadmī bhī kisī roz apnī ḳhalvat meñ
mujhe na pā ke koī ā.īna nikālegā
vo sabz Daal kā panchhī maiñ ek ḳhushk daraḳht
zarā sī der meñ vo apnā rāsta legā
maiñ vo charāġh huuñ jis kī ziyā na phailegī
mire mizāj kā sūraj mujhe chhupā legā
kuredtā hai bahut raakh mere maazī kī
maiñ chuuk jā.ūñ to vo uñgliyāñ jalā legā
vo ik thakā huā raahī maiñ ek band sarā.e
pahuñch bhī jā.egā mujh tak to mujh se kyā legā
mujhe kahan mere andar se wo nikalega
parai aag mein koi na hath Dalega
wo aadmi bhi kisi roz apni KHalwat mein
mujhe na pa ke koi aaina nikalega
wo sabz Dal ka panchhi main ek KHushk daraKHt
zara si der mein wo apna rasta lega
main wo charagh hun jis ki ziya na phailegi
mere mizaj ka suraj mujhe chhupa lega
kuredta hai bahut rakh mere mazi ki
main chuk jaun to wo ungliyan jala lega
wo ek thaka hua rahi main ek band sarae
pahunch bhi jaega mujh tak to mujh se kya lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.