mujhe bhi wahshat-e-sahra pukar main bhi hun
mujhe bhī vahshat-e-sahrā pukār maiñ bhī huuñ
tire visāl kā ummīd-vār maiñ bhī huuñ
parind kyuuñ mirī shāḳhoñ se ḳhauf khāte haiñ
ki ik daraḳht huuñ aur sāya-dār maiñ bhī huuñ
mujhe bhī hukm mile jaan se guzarne kā
maiñ intizār meñ huuñ shahsavār maiñ bhī huuñ
bahut se neze yahāñ ḳhud mirī talāsh meñ haiñ
ye dasht jis meñ barā-e-shikār maiñ bhī huuñ
havā chale to laraztī hai merī lau kitnī
maiñ ik charāġh huuñ aur be-qarār maiñ bhī huuñ
mujhe bhi wahshat-e-sahra pukar main bhi hun
tere visal ka ummid-war main bhi hun
parind kyun meri shaKHon se KHauf khate hain
ki ek daraKHt hun aur saya-dar main bhi hun
mujhe bhi hukm mile jaan se guzarne ka
main intizar mein hun shahsawar main bhi hun
bahut se neze yahan KHud meri talash mein hain
ye dasht jis mein bara-e-shikar main bhi hun
hawa chale to larazti hai meri lau kitni
main ek charagh hun aur be-qarar main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.