mujhse kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai
mujhse kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai
Majrooh Sultanpuri
MORE BYMajrooh Sultanpuri
mujh se kahā jibrīl-e-junūñ ne ye bhī vahi-e-ilāhī hai
maz.hab to bas maz.hab-e-dil hai baaqī sab gumrāhī hai
vo jo hue firdaus-badar taqsīr thī vo aadam kī magar
merā azāb-e-dar-badrī merī nā-karda-gunāhī hai
sañg to koī baḌh ke uThāo shāḳh-e-samar kuchh duur nahīñ
jis ko bulandī samjhe ho un hāthoñ kī kotāhī hai
phir koī manzar phir vahī gardish kyā kiije ai kū-e-nigār
mere liye zanjīr-e-gulū merī āvāra-nigāhī hai
bahr-e-ḳhudā ḳhāmosh raho bas dekhte jaao ahl-e-nazar
kyā laġhzīda-qadam haiñ us ke kyā duzdīda-nigāhī hai
diid ke qābil hai to sahī 'majrūh' tirī mastāna-ravī
gard-e-havā hai raḳht-e-safar raste kā shajar ham-rāhī hai
mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai
mazhab to bas mazhab-e-dil hai baqi sab gumrahi hai
wo jo hue firdaus-badar taqsir thi wo aadam ki magar
mera azab-e-dar-badri meri na-karda-gunahi hai
sang to koi baDh ke uThao shaKH-e-samar kuchh dur nahin
jis ko bulandi samjhe ho un hathon ki kotahi hai
phir koi manzar phir wahi gardish kya kije ai ku-e-nigar
mere liye zanjir-e-gulu meri aawara-nigahi hai
bahr-e-KHuda KHamosh raho bas dekhte jao ahl-e-nazar
kya laghzida-qadam hain us ke kya duzdida-nigahi hai
did ke qabil hai to sahi 'majruh' teri mastana-rawi
gard-e-hawa hai raKHt-e-safar raste ka shajar ham-rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.