hausle zindagi ke dekhte hain
hausle zindagī ke dekhte haiñ
chaliye kuchh roz jī ke dekhte haiñ
niiñd pichhlī sadī kī zaḳhmī hai
ḳhvāb aglī sadī ke dekhte haiñ
roz ham ik añdherī dhund ke paar
qāfile raushnī ke dekhte haiñ
dhuup itnī karāhtī kyuuñ hai
chhāñv ke zaḳhm sī ke dekhte haiñ
TikTikī bāñdh lī hai āñkhoñ ne
rāste vāpsī ke dekhte haiñ
pāniyoñ se to pyaas bujhtī nahīñ
aa.iye zahr pī ke dekhte haiñ
hausle zindagi ke dekhte hain
chaliye kuchh roz ji ke dekhte hain
nind pichhli sadi ki zaKHmi hai
KHwab agli sadi ke dekhte hain
roz hum ek andheri dhund ke par
qafile raushni ke dekhte hain
dhup itni karahti kyun hai
chhanw ke zaKHm si ke dekhte hain
TikTiki bandh li hai aankhon ne
raste wapsi ke dekhte hain
paniyon se to pyas bujhti nahin
aaiye zahr pi ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.