Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buland barq ke aage bhi hausla rakhna

Mukhtar Ahmad Kausar

buland barq ke aage bhi hausla rakhna

Mukhtar Ahmad Kausar

MORE BYMukhtar Ahmad Kausar

    buland barq ke aage bhī hausla rakhnā

    jale jo ek nasheman to dūsrā rakhnā

    jo āzmānā ho mujh ko to phir mire aage

    ḳhum-o-surāhī nahīñ saarā mai-kada rakhnā

    vo sach khoj meñ kis kis dekhtā chehra

    jo ḳhud bhuul gayā saath aa.ina rakhnā

    kahīñ ugā ho vo gulshan ho ki sahrā ho

    hamesha phuul ḳhushbū se vāsta rakhnā

    diloñ ke beach meñ dīvār tānne vaalo

    khulī havā meñ nikalne rāsta rakhnā

    vo ajnabī ki shanāsā ho ye ḳhayāl rahe

    milo jo us se to thoḌā fāsla rakhnā

    sa.ūbatoñ se jo dil TūTne lage 'kausar'

    nazar ke sāmne tasvīr-e-karbalā rakhnā

    buland barq ke aage bhi hausla rakhna

    jale jo ek nasheman to dusra rakhna

    jo aazmana ho mujh ko to phir mere aage

    KHum-o-surahi nahin sara mai-kada rakhna

    wo sach ki khoj mein kis kis ka dekhta chehra

    jo KHud hi bhul gaya sath aaina rakhna

    kahin uga ho wo gulshan ho ya ki sahra ho

    hamesha phul ki KHushbu se wasta rakhna

    dilon ke beach mein diwar tanne walo

    khuli hawa mein nikalne ka rasta rakhna

    wo ajnabi ki shanasa ho ye KHayal rahe

    milo jo us se to thoDa sa fasla rakhna

    saubaton se jo dil TuTne lage 'kausar'

    nazar ke samne taswir-e-karbala rakhna

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now