mere wajud ko parchhaiyon ne toD diya
mire vajūd ko parchhā.iyoñ ne toḌ diyā
maiñ ik hisār thā tanhā.iyoñ ne toḌ diyā
baham jo mahfil-e-aġhyār meñ rahe the kabhī
ye silsila bhī shanāsā.iyoñ ne toḌ diyā
bas ek rabt nishānī thā apne purkhoñ kī
ise bhī aaj mire bhā.iyoñ ne toḌ diyā
tū be-ḳhabar hai magar niind se bharī laḌkī
mirā badan tirī añgḌā.iyoñ ne toḌ diyā
ḳhizāñ kī rut meñ bhī maiñ shāḳh se nahīñ TuuTā
mujhe bahār kī purvā.iyoñ ne toḌ diyā
mirā bharam thā yahī ek merī tanhā.ī
ye ik bharam bhī tamāshā.iyoñ ne toḌ diyā
mere wajud ko parchhaiyon ne toD diya
main ek hisar tha tanhaiyon ne toD diya
baham jo mahfil-e-aghyar mein rahe the kabhi
ye silsila bhi shanasaiyon ne toD diya
bas ek rabt nishani tha apne purkhon ki
ise bhi aaj mere bhaiyon ne toD diya
tu be-KHabar hai magar nind se bhari laDki
mera badan teri angDaiyon ne toD diya
KHizan ki rut mein bhi main shaKH se nahin TuTa
mujhe bahaar ki purwaiyon ne toD diya
mera bharam tha yahi ek meri tanhai
ye ek bharam bhi tamashaiyon ne toD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.