ghamze ne uske chori mein dil ki hunar kiya
ġhamze ne us ke chorī meñ dil kī hunar kiyā
us ḳhānumāñ-ḳharāb ne āñkhoñ meñ ghar kiyā
rañg uḌ chalā chaman meñ guloñ kā to kyā nasīm
ham ko to rozgār ne be-bāl-o-par kiyā
naafe jo thiiñ mizāj ko avval so ishq meñ
āḳhir unhīñ davāoñ ne ham ko zarar kiyā
martā huuñ jaan deñ haiñ vatan-dāriyoñ pe log
aur sunte jaate haiñ ki har ik ne safar kiyā
kyā jānūñ bazm-e-aish ki saaqī kī chashm dekh
maiñ sohbat-e-sharāb se aage safar kiyā
jis dam ki teġh-e-ishq khiñchī bul-havas kahāñ
sun lījiyo ki ham hī ne sīna-sipar kiyā
dil zaḳhmī ho ke tujh ta.iiñ pahuñchā to kam nahīñ
is nīm-kushta ne bhī qayāmat jigar kiyā
hai kaun aap meñ jo mile tujh se mast naaz
zauq-e-ḳhabar hī ne to hameñ be-ḳhabar kyā
vo dasht-e-ḳhaufnāk rahā hai mirā vatan
sun kar jise ḳhizr ne safar se hazar kiyā
kuchh kam nahīñ haiñ sho.abda-bāzoñ se mai-gusār
daarū pilā ke shaiḳh ko aadam se ḳhar kiyā
haiñ chāroñ taraf ḳheme khaḌe gard-bād ke
kyā jāniye junūñ ne irāda kidhar kiyā
luknat tirī zabān kī hai sahar jis se shoḳh
yak harf-e-nīm-gufta ne dil par asar kiyā
be-sharm mahz hai vo gunahgār jin ne 'mīr'
abr-e-karam ke sāmne dāmāñ tar kiyā
ghamze ne us ke chori mein dil ki hunar kiya
us KHanuman-KHarab ne aankhon mein ghar kiya
rang uD chala chaman mein gulon ka to kya nasim
hum ko to rozgar ne be-baal-o-par kiya
nafe jo thin mizaj ko awwal so ishq mein
aaKHir unhin dawaon ne hum ko zarar kiya
marta hun jaan den hain watan-dariyon pe log
aur sunte jate hain ki har ek ne safar kiya
kya jaanun bazm-e-aish ki saqi ki chashm dekh
main sohbat-e-sharab se aage safar kiya
jis dam ki tegh-e-ishq khinchi bul-hawas kahan
sun lijiyo ki hum hi ne sina-sipar kiya
dil zaKHmi ho ke tujh tain pahuncha to kam nahin
is nim-kushta ne bhi qayamat jigar kiya
hai kaun aap mein jo mile tujh se mast naz
zauq-e-KHabar hi ne to hamein be-KHabar kya
wo dasht-e-KHaufnak raha hai mera watan
sun kar jise KHizr ne safar se hazar kiya
kuchh kam nahin hain shoabda-bazon se mai-gusar
daru pila ke shaiKH ko aadam se KHar kiya
hain chaaron taraf KHeme khaDe gard-baad ke
kya jaaniye junun ne irada kidhar kiya
luknat teri zaban ki hai sahar jis se shoKH
yak harf-e-nim-gufta ne dil par asar kiya
be-sharm mahz hai wo gunahgar jin ne 'mir'
abr-e-karam ke samne daman tar kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0074
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.