zaKHm purane phul sabhi basi ho jaenge
zaḳhm purāne phuul sabhī baasī ho jā.eñge
dard ke sab qisse yād-e-māzī ho jā.eñge
sāñseñ letī tasvīroñ ko chup lag jā.egī
saare naqsh karishmoñ se aarī ho jā.eñge
āñkhoñ se mastī na laboñ se amrit Tapkegā
shīsha-o-jām sharāboñ se ḳhālī ho jā.eñge
khulī chhatoñ se chāñdnī rāteñ katrā jā.eñgī
kuchh ham bhī tanhā.ī ke aadī ho jā.eñge
kūcha-e-jāñ par gahre bādal chhā.e raheñge 'zeb'
us kī khiḌkī ke parde bhārī ho jā.eñge
zaKHm purane phul sabhi basi ho jaenge
dard ke sab qisse yaad-e-mazi ho jaenge
sansen leti taswiron ko chup lag jaegi
sare naqsh karishmon se aari ho jaenge
aankhon se masti na labon se amrit Tapkega
shisha-o-jam sharabon se KHali ho jaenge
khuli chhaton se chandni raaten katra jaengi
kuchh hum bhi tanhai ke aadi ho jaenge
kucha-e-jaan par gahre baadal chhae rahenge 'zeb'
us ki khiDki ke parde bhaari ho jaenge
- Book : zartaab (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.