roz KHwabon mein nae rang bhara karta tha
roz ḳhvāboñ meñ na.e rañg bharā kartā thā
kaun thā jo mirī āñkhoñ meñ rahā kartā thā
uñgliyāñ kaaT ke vo apne lahū se aksar
phuul pattoñ pe mirā naam likhā kartā thā
kaisā qātil thā jo hāthoñ meñ liye thā ḳhanjar
chupke chupke mire jiine kī duā kartā thā
haa.e qismat ki yahī chhoḌ ke jaane vaalā
umr bhar saath nibāheñge kahā kartā thā
phuul sā jism sulagte hue sandal kī tarah
dil ke mandir meñ sar-e-shām jalā kartā thā
vo jo ik lamha kisī yaad meñ kaTtā thā 'nazīr'
dil ke jalte hue sho.aloñ ko havā kartā thā
roz KHwabon mein nae rang bhara karta tha
kaun tha jo meri aankhon mein raha karta tha
ungliyan kaT ke wo apne lahu se aksar
phul patton pe mera nam likha karta tha
kaisa qatil tha jo hathon mein liye tha KHanjar
chupke chupke mere jine ki dua karta tha
hae qismat ki yahi chhoD ke jaane wala
umr bhar sath nibahenge kaha karta tha
phul sa jism sulagte hue sandal ki tarah
dil ke mandir mein sar-e-sham jala karta tha
wo jo ek lamha kisi yaad mein kaTta tha 'nazir'
dil ke jalte hue shoalon ko hawa karta tha
- Book : Etemaad (Pg. 40)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.