wo daur qarib aa raha hai
vo daur qarīb aa rahā hai
jab dād-e-hunar na mil sakegī
us shab kā nuzūl ho rahā hai
jis shab kī sahar na mil sakegī
pūchhoge har ik se ham kahāñ haiñ
aur apnī ḳhabar na mil sakegī
āsāñ bhī na hogā ghar meñ rahnā
taufīq-e-safar na mil sakegī
ḳhanjar sī zabāñ kā zaḳhm khā ke
marham sī nazar na mil sakegī
is rāh-e-safar meñ sāya-e-afgan
ik shāḳh-e-shajar na mil sakegī
jāoge kisī kī anjuman meñ
par us se nazar na mil sakegī
ik jins-e-vafā hai jis ko har-sū
DhūñDoge magar na mil sakegī
sailāb-e-havas umaD rahā hai
ik tishna nazar na mil sakegī
wo daur qarib aa raha hai
jab dad-e-hunar na mil sakegi
us shab ka nuzul ho raha hai
jis shab ki sahar na mil sakegi
puchhoge har ek se hum kahan hain
aur apni KHabar na mil sakegi
aasan bhi na hoga ghar mein rahna
taufiq-e-safar na mil sakegi
KHanjar si zaban ka zaKHm kha ke
marham si nazar na mil sakegi
is rah-e-safar mein saya-e-afgan
ek shaKH-e-shajar na mil sakegi
jaoge kisi ki anjuman mein
par us se nazar na mil sakegi
ek jins-e-wafa hai jis ko har-su
DhunDoge magar na mil sakegi
sailab-e-hawas umaD raha hai
ek tishna nazar na mil sakegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.