kuchh dafn hai aur sans liye jata hai
kuchh dafn hai aur saañs liye jaatā hai
ik saañp hai jo qalb meñ lahrātā hai
ik guuñj hai jo ḳhuun meñ chakrātī hai
ik raaz hai pur-pech huā jaatā hai
ik shor hai jo kuchh nahīñ sunñe detā
ik ghar thā jo bāzār huā jaatā hai
ik narm kalī hai jo khilī paḌtī hai
ik dasht-e-balā hai ki jalā jaatā hai
ik ḳhauf hai jo kuchh nahīñ karne detā
ik ḳhvāb hai jo niiñd meñ taḌpātā hai
do paañv haiñ jo haar ke ruk jaate haiñ
ik sar hai jo dīvār se Takrātā hai
kuchh dafn hai aur sans liye jata hai
ek sanp hai jo qalb mein lahraata hai
ek gunj hai jo KHun mein chakraati hai
ek raaz hai pur-pech hua jata hai
ek shor hai jo kuchh nahin sunne deta
ek ghar tha jo bazar hua jata hai
ek narm kali hai jo khili paDti hai
ek dasht-e-bala hai ki jala jata hai
ek KHauf hai jo kuchh nahin karne deta
ek KHwab hai jo nind mein taDpata hai
do panw hain jo haar ke ruk jate hain
ek sar hai jo diwar se Takraata hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 266)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.