wufur-e-dard ko ehsas hai main jaane wala hun
vufūr-e-dard ko ehsās hai maiñ jaane vaalā huuñ
bahut kam vaqt mere paas hai maiñ jaane vaalā huuñ
kahā jo thā ki tere baad duniyā meñ nahīñ rahnā
mujhe apne kahe kā paas hai maiñ jaane vaalā huuñ
mabādā mere jaane tak vo chashma ḳhushk ho jaa.e
mujhe āb-e-abad kī pyaas hai maiñ jaane vaalā huuñ
agar maiñ saañs lene ko rukūñ to rizq ruktā hai
mujhe hijrat musalsal raas hai maiñ jaane vaalā huuñ
vo merī ḳhalvat-e-paiham to merī bādshāhat hai
ta.alluq aarzī ban-bās hai maiñ jaane vaalā huuñ
girā.ī jā rahī haiñ yuuñ bhī dīvāreñ duāoñ kī
mire ahbāb ko vishvās hai maiñ jaane vaalā huuñ
zabānī yaad kar lo phir ye ḳhāl-o-ḳhat nahīñ hoñge
qarīb-e-sho.alagī qirtās hai maiñ jaane vaalā huuñ
ye sāmāñ bhī sa.mbhālo tum ye ehsāñ bhī uThā lo tum
yahī jo mohlat-e-anfās hai maiñ jaane vaalā huuñ
dar-o-dīvār kī hālat se andāza lagā liije
kahīñ jaale kahīñ par ghaas hai maiñ jaane vaalā huuñ
bas ab maiñ aur karb-e-kashmakash meñ rah nahīñ saktā
yahāñ har aas meñ ik yaas hai maiñ jaane vaalā huuñ
akelā hai koī merī tarah aflāk par shāhid
use merī azal se aas hai maiñ jaane vaalā huuñ
wufur-e-dard ko ehsas hai main jaane wala hun
bahut kam waqt mere pas hai main jaane wala hun
kaha jo tha ki tere baad duniya mein nahin rahna
mujhe apne kahe ka pas hai main jaane wala hun
mabaada mere jaane tak wo chashma KHushk ho jae
mujhe aab-e-abad ki pyas hai main jaane wala hun
agar main sans lene ko rukun to rizq rukta hai
mujhe hijrat musalsal ras hai main jaane wala hun
wo meri KHalwat-e-paiham to meri baadshahat hai
talluq aarzi ban-bas hai main jaane wala hun
girai ja rahi hain yun bhi diwaren duaon ki
mere ahbab ko wishwas hai main jaane wala hun
zabani yaad kar lo phir ye KHal-o-KHat nahin honge
qarib-e-shoalagi qirtas hai main jaane wala hun
ye saman bhi sambhaalo tum ye ehsan bhi uTha lo tum
yahi jo mohlat-e-anfas hai main jaane wala hun
dar-o-diwar ki haalat se andaza laga lije
kahin jale kahin par ghas hai main jaane wala hun
bas ab main aur karb-e-kashmakash mein rah nahin sakta
yahan har aas mein ek yas hai main jaane wala hun
akela hai koi meri tarah aflak par shahid
use meri azal se aas hai main jaane wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.