insani darinde aur is aasani se mar jaen
insānī darinde aur is āsānī se mar jaa.eñ
ye sochne baiTheñ to pareshānī se mar jaa.eñ
vo jin ko mayassar thī har ik chīz-e-digar bhī
mumkin hai suhūlat kī farāvānī se mar jaa.eñ
kashtī pe the kashtī ko jalāte hue hazrāt
ab aag se bach jaa.eñ bhale paanī se mar jaa.eñ
ā.īne kā ye kaun sā session hai hameñ kyā
dīvār ko takte hue hairānī se mar jaa.eñ
'bābar' koī jazbātī kronoñ se ye pūchhe
kis khāte meñ ham aap kī nādānī se mar jaa.eñ
ai dost mukammal nazar-andāz hī kar dekh
aisā na ho ham niim nigahbānī se mar jaa.eñ
bach jaa.eñ to āḳhir kise kyā farq paḌegā
dushman na sahī dost pashemānī se mar jaa.eñ
āñkhoñ meñ utarte hue itrā.eñ sitāre
sūraj hoñ to jal kar tirī peshānī se mar jaa.eñ
rāñjhe ko to phir hiir kī tasvīr bahut hai
jī kartā thā lag kar usī marjānī se mar jaa.eñ
insani darinde aur is aasani se mar jaen
ye sochne baiThen to pareshani se mar jaen
wo jin ko mayassar thi har ek chiz-e-digar bhi
mumkin hai suhulat ki farawani se mar jaen
kashti pe the kashti ko jalate hue hazraat
ab aag se bach jaen bhale pani se mar jaen
aaine ka ye kaun sa session hai hamein kya
diwar ko takte hue hairani se mar jaen
'babar' koi jazbaati kronon se ye puchhe
kis khate mein hum aap ki nadani se mar jaen
ai dost mukammal nazar-andaz hi kar dekh
aisa na ho hum nim nigahbani se mar jaen
bach jaen to aaKHir kise kya farq paDega
dushman na sahi dost pashemani se mar jaen
aankhon mein utarte hue itraen sitare
suraj hon to jal kar teri peshani se mar jaen
ranjhe ko to phir hir ki taswir bahut hai
ji karta tha lag kar usi marjaani se mar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.