hawaen jab ghanTiyan bajaen to lauT aana
havā.eñ jab ghanTiyāñ bajā.eñ to lauT aanā
kisī kī āñkheñ diye jalā.eñ to lauT aanā
bahut dinoñ tak ye mausam-e-gul nahīñ rahegā
jo shāḳh-e-jāñ par gulāb aa.eñ to lauT aanā
havā daraḳhtoñ se jab gale mil ke ro rahī ho
parind lambe safar pe jaa.eñ to lauT aanā
jo zid pe aa jaa.e dil to us kī bhī maan lenā
purānī yādeñ bahut satā.eñ to lauT aanā
firāq kī aag chaaT jaatī hai jism-o-jāñ ko
jo sun sako vaqt kī sadā.eñ to lauT aanā
hawaen jab ghanTiyan bajaen to lauT aana
kisi ki aankhen diye jalaen to lauT aana
bahut dinon tak ye mausam-e-gul nahin rahega
jo shaKH-e-jaan par gulab aaen to lauT aana
hawa daraKHton se jab gale mil ke ro rahi ho
parind lambe safar pe jaen to lauT aana
jo zid pe aa jae dil to us ki bhi man lena
purani yaaden bahut sataen to lauT aana
firaq ki aag chaT jati hai jism-o-jaan ko
jo sun sako waqt ki sadaen to lauT aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.