marne ka sukh jine ki aasani de
marne kā sukh jiine kī āsānī de
andātā kaisā hai aag na paanī de
is dhartī par hariyālī kī jot jagā
kaale meghā paanī de gardānī de
band aflāk kī dīvāroñ meñ rauzan kar
koī to manzar mujh ko imkānī de
mere dil par khol kitāboñ ke asrār
merī aañkh ko apnī saaf nishānī de
arz o samā ke pas-manzar se sāmne aa
dil ko yaqīñ de āñkhoñ ko hairānī de
mere hone mere na hone meñ kyā hai
maut ko mafhūm is hastī ko ma.ānī de
barakat de din pherne vaalī duāoñ ko
raat ko koī ḳhush-tābīr kahānī de
TūTtī rahtī hai kachche dhāge sī niiñd
āñkhoñ ko ThanDak ḳhvāboñ ko girānī de
mujh ko jahāñ ke sātoñ sukh dene vaale
denā hai to koī daulat lā-fānī de
tujh se judā ho kar to maiñ mar jā.ūñgā
mujh ko apnā sar ai dost nishānī de
ik ik patthar raah kā 'zeb' haTātā chal
pīchhe aane vāloñ ko āsānī de
marne ka sukh jine ki aasani de
andata kaisa hai aag na pani de
is dharti par hariyali ki jot jaga
kale megha pani de gardani de
band aflak ki diwaron mein rauzan kar
koi to manzar mujh ko imkani de
mere dil par khol kitabon ke asrar
meri aankh ko apni saf nishani de
arz o sama ke pas-manzar se samne aa
dil ko yaqin de aankhon ko hairani de
mere hone mere na hone mein kya hai
maut ko mafhum is hasti ko maani de
barakat de din pherne wali duaon ko
raat ko koi KHush-tabir kahani de
TuTti rahti hai kachche dhage si nind
aankhon ko ThanDak KHwabon ko girani de
mujh ko jahan ke saton sukh dene wale
dena hai to koi daulat la-fani de
tujh se juda ho kar to main mar jaunga
mujh ko apna sar ai dost nishani de
ek ek patthar rah ka 'zeb' haTata chal
pichhe aane walon ko aasani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.