main jab bhi koi achhuta kalam likhta hun
maiñ jab bhī koī achhūtā kalām likhtā huuñ
to pahle ek ġhazal tere naam likhtā huuñ
badan kī aañch se sañvlā ga.e haiñ pairāhan
maiñ phir bhī sub.h ke chehre pe shaam likhtā huuñ
chale to TūTeñ chaTTāneñ ruke to aag lage
shamīm-e-gul ko to nāzuk-ḳhirām likhtā huuñ
ghaTā.eñ jhuum ke barsīñ jhulas ga.ī khetī
ye hādsa hai ba-sad-e-ehtirām likhtā huuñ
zamīn pyāsī hai būḌhā gagan bhī bhūkā hai
maiñ apne ahd ke qisse tamām likhtā huuñ
chaman ko auroñ ne likkhā hai mai-kada bar dosh
maiñ phuul phuul ko ātish-ba-jām likhtā huuñ
na rābta na koī rabt hī rahā 'bekal'
us ajnabī ko magar maiñ salām likhtā huuñ
main jab bhi koi achhuta kalam likhta hun
to pahle ek ghazal tere nam likhta hun
badan ki aanch se sanwla gae hain pairahan
main phir bhi subh ke chehre pe sham likhta hun
chale to TuTen chaTTanen ruke to aag lage
shamim-e-gul ko to nazuk-KHiram likhta hun
ghaTaen jhum ke barsin jhulas gai kheti
ye hadsa hai ba-sad-e-ehtiram likhta hun
zamin pyasi hai buDha gagan bhi bhuka hai
main apne ahd ke qisse tamam likhta hun
chaman ko auron ne likkha hai mai-kada bar dosh
main phul phul ko aatish-ba-jam likhta hun
na rabta na koi rabt hi raha 'bekal'
us ajnabi ko magar main salam likhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.