maddham hui to aur nikharti chali gai
maddham huī to aur nikhartī chalī ga.ī
zinda hai ek yaad jo martī chalī ga.ī
thī zindagī kī misl shab-e-hijr dosto
aur zindagī kī misl guzartī chalī ga.ī
ham se yahāñ to kuchh bhī sameTā na jā sakā
ham se har ek chiiz bikhartī chalī ga.ī
aa.e the chand zaḳhm guzar-gāh-e-vaqt par
guzrī havā-e-vaqt to bhartī chalī ga.ī
ik ashk qahqahoñ se guzartā chalā gayā
ik chīḳh ḳhāmushī meñ utartī chalī ga.ī
har rañg ek rañg se ham-rañg ho gayā
tasvīr zindagī kī ubhartī chalī ga.ī
maddham hui to aur nikharti chali gai
zinda hai ek yaad jo marti chali gai
thi zindagi ki misl shab-e-hijr dosto
aur zindagi ki misl guzarti chali gai
hum se yahan to kuchh bhi sameTa na ja saka
hum se har ek chiz bikharti chali gai
aae the chand zaKHm guzar-gah-e-waqt par
guzri hawa-e-waqt to bharti chali gai
ek ashk qahqahon se guzarta chala gaya
ek chiKH KHamushi mein utarti chali gai
har rang ek rang se ham-rang ho gaya
taswir zindagi ki ubharti chali gai
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 29)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.