mana ki yahan apni shanasai bhi kam hai
maanā ki yahāñ apnī shanāsā.ī bhī kam hai
par tere yahāñ rasm-e-pazīrā.ī bhī kam hai
haañ taaza gunāhoñ ke liye dil bhī hai betāb
aur pichhle gunāhoñ kī sazā paa.ī bhī kam hai
kuchh kār-e-jahāñ jaañ ko ziyāda bhī lage haiñ
kuchh ab ke baras yaad tirī aa.ī bhī kam hai
kuchh ġham bhī mayassar hameñ ab ke haiñ ziyāda
kuchh ye ki masīhā kī masīhā.ī bhī kam hai
kuchh zulm o sitam sahne kī aadat bhī hai ham ko
kuchh ye hai ki darbār meñ sunvā.ī bhī kam hai
mana ki yahan apni shanasai bhi kam hai
par tere yahan rasm-e-pazirai bhi kam hai
han taza gunahon ke liye dil bhi hai betab
aur pichhle gunahon ki saza pai bhi kam hai
kuchh kar-e-jahan jaan ko ziyaada bhi lage hain
kuchh ab ke baras yaad teri aai bhi kam hai
kuchh gham bhi mayassar hamein ab ke hain ziyaada
kuchh ye ki masiha ki masihai bhi kam hai
kuchh zulm o sitam sahne ki aadat bhi hai hum ko
kuchh ye hai ki darbar mein sunwai bhi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.