lahu-luhan tha shaKH-e-gulab kaT ke wo
lahū-luhān thā shāḳh-e-gulāb kaaT ke vo
huā halāk chaTānoñ ke ḳhvāb kaaT ke vo
maiñ guzre vaqt ke kis āsmāñ meñ jiitā huuñ
gayā kabhī kā havā kī tanāb kaaT ke vo
isī umiid pe jaltī haiñ dasht dasht āñkheñ
kabhī to aa.egā umr-e-ḳharāb kaaT ke vo
hue haiñ ḳhushk bharī dopahar ka.ī dariyā
is aarzū meñ ki rakh de sarāb kaaT ke vo
guzishta shab se jazīre meñ vārdāt nahīñ
bhañvar ko le gayā yuuñ zer-e-āb kaaT ke vo
lahu-luhan tha shaKH-e-gulab kaT ke wo
hua halak chaTanon ke KHwab kaT ke wo
main guzre waqt ke kis aasman mein jita hun
gaya kabhi ka hawa ki tanab kaT ke wo
isi umid pe jalti hain dasht dasht aankhen
kabhi to aaega umr-e-KHarab kaT ke wo
hue hain KHushk bhari dopahar kai dariya
is aarzu mein ki rakh de sarab kaT ke wo
guzishta shab se jazire mein wardat nahin
bhanwar ko le gaya yun zer-e-ab kaT ke wo
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 72)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.