laiq-e-did wo nazara tha
lā.iq-e-dīd vo nazārā thā
laakh neze the sar hamārā thā
ek āñdhī sī kyuuñ badan meñ hai
us ne shāyad hameñ pukārā thā
shukriya reshmī dilāse kā
tiir to aap ne bhī maarā thā
bādbāñ se ulajh gayā lañgar
aur do haath par kinārā thā
sāhibo baat dastaras kī thī
ek jugnū thā ik sitārā thā
āsmāñ bojh hī kuchh aisā hai
sar jhukānā kise gavārā thā
ab namak tak nahīñ hai zaḳhmoñ par
dostoñ se baḌā sahārā thā
laiq-e-did wo nazara tha
lakh neze the sar hamara tha
ek aandhi si kyun badan mein hai
us ne shayad hamein pukara tha
shukriya reshmi dilase ka
tir to aap ne bhi mara tha
baadban se ulajh gaya langar
aur do hath par kinara tha
sahibo baat dastaras ki thi
ek jugnu tha ek sitara tha
aasman bojh hi kuchh aisa hai
sar jhukana kise gawara tha
ab namak tak nahin hai zaKHmon par
doston se baDa sahaara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.