kyun na mahken gulab aankhon mein
kyuuñ na mahkeñ gulāb āñkhoñ meñ
ham ne rakkhe haiñ ḳhvāb āñkhoñ meñ
raat aa.ī to chāñd sā chehra
le ke aayā sharāb āñkhoñ meñ
dekho ham ik savāl karte haiñ
likh rakhnā javāb āñkhoñ meñ
is meñ ḳhatrā hai Duub jaane kā
jhāñkiye mat janāb āñkhoñ meñ
kabhī āñkheñ kitāb meñ gum haiñ
kabhī gum hai kitāb āñkhoñ meñ
koī rahtā thā raat din 'alvī'
inhīñ ḳhāna-ḳharāb āñkhoñ meñ
kyun na mahken gulab aankhon mein
hum ne rakkhe hain KHwab aankhon mein
raat aai to chand sa chehra
le ke aaya sharab aankhon mein
dekho hum ek sawal karte hain
likh rakhna jawab aankhon mein
is mein KHatra hai Dub jaane ka
jhankiye mat janab aankhon mein
kabhi aankhen kitab mein gum hain
kabhi gum hai kitab aankhon mein
koi rahta tha raat din 'alwi'
inhin KHana-KHarab aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.