kyun main ab qabil-e-jafa na raha
kyuuñ maiñ ab qābil-e-jafā na rahā
kyā huā kahiye mujh meñ kyā na rahā
un kī mahfil meñ us ke charche haiñ
mujh se achchhā mirā fasāna rahā
vaa.iz o mohtasib kā jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na rahā
uf-re nā-āshnā.iyāñ us kī
chaar din bhī to āshnā na rahā
laakh parde meñ koī kyuuñ na chhupe
rāz-e-ulfat to ab chhupā na rahā
itnī māyūsiyāñ bhī kyā 'beḳhud'
kyā ḳhudā kā bhī aasrā na rahā
kyun main ab qabil-e-jafa na raha
kya hua kahiye mujh mein kya na raha
un ki mahfil mein us ke charche hain
mujh se achchha mera fasana raha
waiz o mohtasib ka jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na raha
uf-re na-ashnaiyan us ki
chaar din bhi to aashna na raha
lakh parde mein koi kyun na chhupe
raaz-e-ulfat to ab chhupa na raha
itni mayusiyan bhi kya 'beKHud'
kya KHuda ka bhi aasra na raha
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 182)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.