kya kya fareb dil ko diye iztirab mein
kyā kyā fareb dil ko diye iztirāb meñ
un kī taraf se aap likhe ḳhat javāb meñ
kyā jāneñ kyā sikhā.eñge un ko salāhkār
har roz guftugū hai na.ī mere baab meñ
pīr-e-muġhāñ kī dil-shikanī kā rahā ḳhayāl
dāḳhil huā huuñ tauba se pahle savāb meñ
rakhnā qadam tasavvur-e-jānāñ sambhāl kar
kaa.ī hai jā-ba-jā mirī chashm-e-pur-āb meñ
ai shaiḳh jo batā.e ma-e-ishq ko harām
aise ke do lagā.e bhigo kar sharāb meñ
ai 'dāġh' koī mujh sā na hogā gunāhgār
hai ma.asiyat se merī jahannam azaab meñ
kya kya fareb dil ko diye iztirab mein
un ki taraf se aap likhe KHat jawab mein
kya jaanen kya sikhaenge un ko salahkar
har roz guftugu hai nai mere bab mein
pir-e-mughan ki dil-shikani ka raha KHayal
daKHil hua hun tauba se pahle sawab mein
rakhna qadam tasawwur-e-jaanan sambhaal kar
kai hai ja-ba-ja meri chashm-e-pur-ab mein
ai shaiKH jo batae ma-e-ishq ko haram
aise ke do lagae bhigo kar sharab mein
ai 'dagh' koi mujh sa na hoga gunahgar
hai masiyat se meri jahannam azab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.