kya jaaniye manzil hai kahan jate hain kis samt
kyā jāniye manzil hai kahāñ jaate haiñ kis samt
bhaTkī huī is bhiiḌ meñ sab soch rahe haiñ
bhīgī huī ik shaam kī dahlīz pe baiThe
ham dil ke sulagne kā sabab soch rahe haiñ
TuuTe hue pattoñ se daraḳhtoñ kā ta'alluq
ham duur khaḌe kunj-e-tarab soch rahe haiñ
bujhtī huī sham.oñ kā dhuāñ hai sar-e-mahfil
kyā rang jame āḳhir-e-shab soch rahe haiñ
is lahr ke pīchhe bhī ravāñ haiñ na.ī lahreñ
pahle nahīñ sochā thā jo ab soch rahe haiñ
ham ubhre bhī Duube bhī siyāhī ke bhañvar meñ
ham so.e nahīñ shab-hama-shab soch rahe haiñ
kya jaaniye manzil hai kahan jate hain kis samt
bhaTki hui is bhiD mein sab soch rahe hain
bhigi hui ek sham ki dahliz pe baiThe
hum dil ke sulagne ka sabab soch rahe hain
TuTe hue patton se daraKHton ka ta'alluq
hum dur khaDe kunj-e-tarab soch rahe hain
bujhti hui shamon ka dhuan hai sar-e-mahfil
kya rang jame aaKHir-e-shab soch rahe hain
is lahr ke pichhe bhi rawan hain nai lahren
pahle nahin socha tha jo ab soch rahe hain
hum ubhre bhi Dube bhi siyahi ke bhanwar mein
hum soe nahin shab-hama-shab soch rahe hain
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 498)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.