kuchh yaqin sa guman sa kuchh hai
kuchh yaqīñ sā gumān sā kuchh hai
jo bhī hai merī jaan sā kuchh hai
fāsle ḳhatm ho ga.e lekin
phir bhī ik darmiyān sā kuchh hai
ham yahīñ par qayām karte haiñ
is khañDar meñ makān sā kuchh hai
haath meñ hai mahār-e-nāqa-e-ḳhāk
sar pe ik sā.ebān sā kuchh hai
dasht jaañ meñ vo ḳhaak uḌātā huā
ab bhī ik kārvān sā kuchh hai
khul ga.e us kī nusratoñ ke alam
vo havā meñ nishān sā kuchh hai
dekh neze kī is bulandī par
ye koī āsmān sā kuchh hai
ret par vo paḌī hai mushk koī
tiir bhī aur kamān sā kuchh hai
dekh andāz-e-be-zabānī-e-gul
apnā tarz-e-bayān sā kuchh hai
chal ke us kī galī meñ dekhte haiñ
shor āshuftagān sā kuchh hai
kuchh yaqin sa guman sa kuchh hai
jo bhi hai meri jaan sa kuchh hai
fasle KHatm ho gae lekin
phir bhi ek darmiyan sa kuchh hai
hum yahin par qayam karte hain
is khanDar mein makan sa kuchh hai
hath mein hai mahaar-e-naqa-e-KHak
sar pe ek saeban sa kuchh hai
dasht jaan mein wo KHak uData hua
ab bhi ek karwan sa kuchh hai
khul gae us ki nusraton ke alam
wo hawa mein nishan sa kuchh hai
dekh neze ki is bulandi par
ye koi aasman sa kuchh hai
ret par wo paDi hai mushk koi
tir bhi aur kaman sa kuchh hai
dekh andaz-e-be-zabani-e-gul
apna tarz-e-bayan sa kuchh hai
chal ke us ki gali mein dekhte hain
shor aashuftagan sa kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.