kuchh parindon ko to bas do chaar dane chahiyen
kuchh parindoñ ko to bas do chaar daane chāhiyeñ
kuchh ko lekin āsmānoñ ke ḳhazāne chāhiyeñ
dostoñ kā kyā hai vo to yuuñ bhī mil jaate haiñ muft
roz ik sach bol kar dushman kamāne chāhiyeñ
tum haqīqat ko liye baiThe ho to baiThe raho
ye zamāna hai ise har din fasāne chāhiyeñ
roz in āñkhoñ ke sapne TuuT jaate haiñ to kyā
roz in āñkhoñ meñ phir sapne sajāne chāhiyeñ
bār-hā ḳhush ho rahe haiñ kyuuñ inhī bātoñ pe log
bār-hā jin pe unheñ aañsū bahāne chāhiyeñ
kuchh parindon ko to bas do chaar dane chahiyen
kuchh ko lekin aasmanon ke KHazane chahiyen
doston ka kya hai wo to yun bhi mil jate hain muft
roz ek sach bol kar dushman kamane chahiyen
tum haqiqat ko liye baiThe ho to baiThe raho
ye zamana hai ise har din fasane chahiyen
roz in aankhon ke sapne TuT jate hain to kya
roz in aankhon mein phir sapne sajaane chahiyen
bar-ha KHush ho rahe hain kyun inhi baaton pe log
bar-ha jin pe unhen aansu bahane chahiyen
- Book : Vajood (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.