kuchh bhi bacha na kahne ko har baat ho gai
kuchh bhī bachā na kahne ko har baat ho ga.ī
aao kahīñ sharāb piyeñ raat ho ga.ī
phir yuuñ huā ki vaqt kā pāñsa palaT gayā
ummīd jiit kī thī magar maat ho ga.ī
sūraj ko choñch meñ liye murġhā khaḌā rahā
khiḌkī ke parde khīñch diye raat ho ga.ī
vo aadmī thā kitnā bhalā kitnā pur-ḳhulūs
us se bhī aaj liije mulāqāt ho ga.ī
raste meñ vo milā thā maiñ bach kar guzar gayā
us kī phaTī qamīs mire saath ho ga.ī
naqsha uThā ke koī nayā shahr DhūñDhiye
is shahr meñ to sab se mulāqāt ho ga.ī
kuchh bhi bacha na kahne ko har baat ho gai
aao kahin sharab piyen raat ho gai
phir yun hua ki waqt ka pansa palaT gaya
ummid jit ki thi magar mat ho gai
suraj ko chonch mein liye murgha khaDa raha
khiDki ke parde khinch diye raat ho gai
wo aadmi tha kitna bhala kitna pur-KHulus
us se bhi aaj lije mulaqat ho gai
raste mein wo mila tha main bach kar guzar gaya
us ki phaTi qamis mere sath ho gai
naqsha uTha ke koi naya shahr DhunDhiye
is shahr mein to sab se mulaqat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.