koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha
koī nahīñ thā mere muqābil bhī maiñ hī thā
shāyad ki apnī raah meñ haa.il bhī maiñ hī thā
apne hī gird maiñ ne kiyā umr bhar safar
bhaTkāyā mujh ko jis ne vo manzil bhī maiñ hī thā
ubhrā huuñ jin se bār-hā mujh meñ the sab bhañvar
Duubā jahāñ pahuñch ke vo sāhil bhī maiñ hī thā
āsāñ nahīñ thā sāzisheñ karnā mire ḳhilāf
jab apnī ārzūoñ kā qātil bhī maiñ hī thā
shab bhar har ik ḳhayāl muḳhātib mujhī se thā
tanhā.iyoñ meñ raunaq-e-mahfil bhī maiñ hī thā
duniyā se be-niyāzī bhī fitrat mirī hī thī
duniyā ke ranj o dard meñ shāmil bhī maiñ hī thā
mujh ko samajh na paa.ī mirī zindagī kabhī
āsāniyāñ mujhī se thiiñ mushkil bhī maiñ hī thā
mujh meñ thā ḳhair o shar kā ajab imtizāj 'shād'
maiñ ḳhud hī haq-parast thā bātil bhī maiñ hī thā
koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha
shayad ki apni rah mein hail bhi main hi tha
apne hi gird main ne kiya umr bhar safar
bhaTkaya mujh ko jis ne wo manzil bhi main hi tha
ubhra hun jin se bar-ha mujh mein the sab bhanwar
Duba jahan pahunch ke wo sahil bhi main hi tha
aasan nahin tha sazishen karna mere KHilaf
jab apni aarzuon ka qatil bhi main hi tha
shab bhar har ek KHayal muKHatib mujhi se tha
tanhaiyon mein raunaq-e-mahfil bhi main hi tha
duniya se be-niyazi bhi fitrat meri hi thi
duniya ke ranj o dard mein shamil bhi main hi tha
mujh ko samajh na pai meri zindagi kabhi
aasaniyan mujhi se thin mushkil bhi main hi tha
mujh mein tha KHair o shar ka ajab imtizaj 'shad'
main KHud hi haq-parast tha baatil bhi main hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.