koi KHushi na koi ranj mustaqil hoga
koī ḳhushī na koī rañj mustaqil hogā
fanā ke rañg se har rañg muttasil hogā
ajab hai ishq ajab-tar haiñ ḳhvāhisheñ is kī
kabhī kabhī to bichhaḌne talak ko dil hogā
badan meñ ho to gila kyā tamāsh-bīnī kā
yahāñ to roz tamāshā-o-āb-o-gil hogā
abhī to aur bhī chehre tumheñ pukāreñge
abhī vo aur bhī chehroñ meñ muntaqil hogā
ziyāñ mazīd hai asbāb DhūñDhte rahnā
huā hai jo vo na hone pe mushtamil hogā
tamām-rāt bhaTaktā phirā hai saḌkoñ par
huī hai sub.h abhī shahr muzmahil hogā
koi KHushi na koi ranj mustaqil hoga
fana ke rang se har rang muttasil hoga
ajab hai ishq ajab-tar hain KHwahishen is ki
kabhi kabhi to bichhaDne talak ko dil hoga
badan mein ho to gila kya tamash-bini ka
yahan to roz tamasha-o-ab-o-gil hoga
abhi to aur bhi chehre tumhein pukarenge
abhi wo aur bhi chehron mein muntaqil hoga
ziyan mazid hai asbab DhunDhte rahna
hua hai jo wo na hone pe mushtamil hoga
tamam-raat bhaTakta phira hai saDkon par
hui hai subh abhi shahr muzmahil hoga
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 22)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.