koi fariyaad mujhe toD ke san se nikli
koī fariyād mujhe toḌ ke san se niklī
yuuñ lagā jaise mirī ruuh badan se niklī
ādatan maiñ kisī ehsās ke pīchhe lapkā
daf.atan ek ġhazal dasht-e-suḳhan se niklī
rang kis kā thā jo dastak se numūdār huā
kis kī ḳhushbū thī jo kamre kī ghuTan se niklī
kis kā chehra thā jo sadiyoñ ke bhañvar se ubhrā
kaisī vahshat thī jo barsoñ kī thakan se niklī
ek saa.e ke ta.āqub meñ koī parchhā.īñ
pyaas oḌhe hue sahrā-e-badan se niklī
kuchh to aisā thā ki buniyād se hijrat kar lī
ḳhaak yūñhī to nahīñ apne vatan se niklī
raakh jamne lagī jab raat kī āñkhoñ meñ 'nabīl'
niiñd āhista se bistar kī shikan se niklī
koi fariyaad mujhe toD ke san se nikli
yun laga jaise meri ruh badan se nikli
aadatan main kisi ehsas ke pichhe lapka
dafatan ek ghazal dasht-e-suKHan se nikli
rang kis ka tha jo dastak se numudar hua
kis ki KHushbu thi jo kamre ki ghuTan se nikli
kis ka chehra tha jo sadiyon ke bhanwar se ubhra
kaisi wahshat thi jo barson ki thakan se nikli
ek sae ke taaqub mein koi parchhain
pyas oDhe hue sahra-e-badan se nikli
kuchh to aisa tha ki buniyaad se hijrat kar li
KHak yunhi to nahin apne watan se nikli
rakh jamne lagi jab raat ki aankhon mein 'nabil'
nind aahista se bistar ki shikan se nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.