koi bijli in KHarabon mein ghaTa raushan kare
koī bijlī in ḳharāboñ meñ ghaTā raushan kare
ai añdherī bastiyo tum ko ḳhudā raushan kare
nanhe hoñToñ par khileñ māsūm lafzoñ ke gulāb
aur māthe par koī harf-e-duā raushan kare
zard chehroñ par bhī chamke surḳh jazboñ kī dhanak
sāñvle hāthoñ ko bhī rañg-e-hinā raushan kare
ek laḌkā shahr kī raunaq meñ sab kuchh bhuul jaa.e
ek buḌhiyā roz chaukhaT par diyā raushan kare
ḳhair agar tum se na jal paa.eñ vafāoñ ke charāġh
tum bujhānā mat jo koī dūsrā raushan kare
aag jaltī chhoḌ aa.e ho to ab kyā fikr hai
jaane kitne shahr ye pāgal havā raushan kare
dil hī fānūs-e-havā dil hī ḳhas-o-ḳhār-e-havas
dekhnā ye hai ki us kā qurb kyā raushan kare
yā to is jangal meñ nikle chāñd tere naam kā
yā mirā hī lafz merā rāstā raushan kare
koi bijli in KHarabon mein ghaTa raushan kare
ai andheri bastiyo tum ko KHuda raushan kare
nanhe honTon par khilen masum lafzon ke gulab
aur mathe par koi harf-e-dua raushan kare
zard chehron par bhi chamke surKH jazbon ki dhanak
sanwle hathon ko bhi rang-e-hina raushan kare
ek laDka shahr ki raunaq mein sab kuchh bhul jae
ek buDhiya roz chaukhaT par diya raushan kare
KHair agar tum se na jal paen wafaon ke charagh
tum bujhana mat jo koi dusra raushan kare
aag jalti chhoD aae ho to ab kya fikr hai
jaane kitne shahr ye pagal hawa raushan kare
dil hi fanus-e-hawa dil hi KHas-o-KHar-e-hawas
dekhna ye hai ki us ka qurb kya raushan kare
ya to is jangal mein nikle chand tere nam ka
ya mera hi lafz mera rasta raushan kare
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 47)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.